dekhte hi tujhe phir jaan pe ban aai hai
dekhte hī tujhe phir jaan pe ban aa.ī hai
ai masīhā ye batā kaisī masīhā.ī hai
ḳhush na ho is pe zamāna tirā shaidā.ī hai
faḳhr kī baat nahīñ bā'is-e-rusvā.ī hai
mil gayā jaise mujhe apnī mohabbat kā sila
aap ne aaj mire sar kī qasam khaa.ī hai
ab 'ayādat ko vo aa.e to mujhe hosh nahīñ
niiñd aa.ī bhī to bīmār ko kab aa.ī hai
dekh kar hālat-e-sad-chāk-e-garebāñ aksar
apne hī hāl-e-pareshāñ pe hañsī aa.ī hai
dekhte hi tujhe phir jaan pe ban aai hai
ai masiha ye bata kaisi masihai hai
KHush na ho is pe zamana tera shaidai hai
faKHr ki baat nahin ba'is-e-ruswai hai
mil gaya jaise mujhe apni mohabbat ka sila
aap ne aaj mere sar ki qasam khai hai
ab 'ayaadat ko wo aae to mujhe hosh nahin
nind aai bhi to bimar ko kab aai hai
dekh kar haalat-e-sad-chaak-e-gareban aksar
apne hi haal-e-pareshan pe hansi aai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.