dekhte kya did ke qabil koi manzar na tha
dekhte kyā diid ke qābil koī manzar na thā
paañv dhartī par na the aur āsmāñ sar par na thā
ḳhud hamīñ ko ḳhud-kushī kā shauq thā chāragaro
dostoñ kī āstīnoñ meñ koī ḳhanjar na thā
har paḌāv ek shab ke vāste manzil banā
jis kī ḳhātir dar-ba-dar bhaTke hamārā ghar na thā
qarz miTTī kā thā miTTī ke havāle kar diyā
vo jo ham ne dasht ko sauñpā hamārā sar na thā
barf mausam āñdhiyāñ shāḳh-o-shajar kuchh bhī na the
uḌne vāloñ ko magar andoh-e-bāl-o-par na thā
gumbad-e-koh-e-nidā se bach nikalnā thā muhāl
rāste chāroñ taraf the aur koī dar na thā
maiñ hī shā.ista na Thahrā sañgsārī kā ki aaj
sab uThe hāthoñ meñ parcham the koī patthar na thā
ham ne nazroñ se chhuā palkoñ se chūmā hai use
log kahte the ki ḳhushbū kā koī paikar na thā
dekhte kya did ke qabil koi manzar na tha
panw dharti par na the aur aasman sar par na tha
KHud hamin ko KHud-kushi ka shauq tha chaaragaro
doston ki aastinon mein koi KHanjar na tha
har paDaw ek shab ke waste manzil bana
jis ki KHatir dar-ba-dar bhaTke hamara ghar na tha
qarz miTTi ka tha miTTi ke hawale kar diya
wo jo hum ne dasht ko saunpa hamara sar na tha
barf mausam aandhiyan shaKH-o-shajar kuchh bhi na the
uDne walon ko magar andoh-e-baal-o-par na tha
gumbad-e-koh-e-nida se bach nikalna tha muhaal
raste chaaron taraf the aur koi dar na tha
main hi shaista na Thahra sangsari ka ki aaj
sab uThe hathon mein parcham the koi patthar na tha
hum ne nazron se chhua palkon se chuma hai use
log kahte the ki KHushbu ka koi paikar na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.