der mujhse kabhi ho jae to dukh hota hai
der mujh se kabhī ho jaa.e to dukh hotā hai
muntazir haar ke so jaa.e to dukh hotā hai
chuur rahtā hai tag-o-tāz se merā bhī badan
jab ayaañ chehre se ho jaa.e to dukh hotā hai
jis kī dam-sāzī se dam-ḳham ho lab-o-lahje meñ
ḳhaar lafzoñ ke chubho jaa.e to dukh hotā hai
apnī tahzīb-o-saqāfat ke bhī sarmā.e kā
bojh logoñ se na Dho jaa.e to dukh hotā hai
kaun rakkhegā mire baad mohabbat kā bharam
qatl mujh sā koī ho jaa.e to dukh hotā hai
aadmī apnī fazīlat bhī na malhūz rakhe
haath ġhairat se bhī dho jaa.e to dukh hotā hai
tujh se mansūb mire dil meñ bhaTaktā aañsū
kabhī dāman ko bhigo jaa.e to dukh hotā hai
facebōk dost bure vaqt bhī kaam aate haiñ
itifāqan koī kho jaa.e to dukh hotā hai
'sarfarāz' ab dil-e-kambaḳht ko apnā bhī ḳhayāl
ġham ke dariyā meñ Dubo jaa.e to dukh hotā hai
der mujh se kabhi ho jae to dukh hota hai
muntazir haar ke so jae to dukh hota hai
chur rahta hai tag-o-taz se mera bhi badan
jab ayan chehre se ho jae to dukh hota hai
jis ki dam-sazi se dam-KHam ho lab-o-lahje mein
KHar lafzon ke chubho jae to dukh hota hai
apni tahzib-o-saqafat ke bhi sarmae ka
bojh logon se na Dho jae to dukh hota hai
kaun rakkhega mere baad mohabbat ka bharam
qatl mujh sa koi ho jae to dukh hota hai
aadmi apni fazilat bhi na malhuz rakhe
hath ghairat se bhi dho jae to dukh hota hai
tujh se mansub mere dil mein bhaTakta aansu
kabhi daman ko bhigo jae to dukh hota hai
facebook dost bure waqt bhi kaam aate hain
itifaqan koi kho jae to dukh hota hai
'sarfaraaz' ab dil-e-kambaKHt ko apna bhi KHayal
gham ke dariya mein Dubo jae to dukh hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.