der se rah pe aae ho magar aae ho
der se raah pe aa.e ho magar aa.e ho
merī rātoñ meñ sahar ban ke utar aa.e ho
yuuñ hai har samt mire ghar meñ charāġhāñ kī bahār
jaise ban-bās se tum lauT ke ghar aa.e ho
bhūlī yādeñ bhī dabe paañv chalī aa.ī haiñ
tum akele to nahīñ ho jo idhar aa.e ho
kis kamī kā huā pardes meñ tum ko ehsās
kuchh to hai tum jo achānak hī idhar aa.e ho
shoḳhiyāñ aisī bhī kis kaam kī ham baaz aa.e
tum to aate hī sharārat pe utar aa.e ho
saarī duniyā mirī āñkhoñ meñ simaT aa.ī hai
ba.ad muddat ke jo tum mujh ko nazar aa.e ho
ho ga.e ghar se sabhī ġham ke añdhere ruḳhsat
tum jo aa.e ho ba-andāz-e-sahar aa.e ho
ye bhī 'nasrīn' mohabbat kā karishma hai ki tum
saaf har moḌ se bach kar jo idhar aa.e ho
der se rah pe aae ho magar aae ho
meri raaton mein sahar ban ke utar aae ho
yun hai har samt mere ghar mein charaghan ki bahaar
jaise ban-bas se tum lauT ke ghar aae ho
bhuli yaaden bhi dabe panw chali aai hain
tum akele to nahin ho jo idhar aae ho
kis kami ka hua pardes mein tum ko ehsas
kuchh to hai tum jo achanak hi idhar aae ho
shoKHiyan aisi bhi kis kaam ki hum baz aae
tum to aate hi shararat pe utar aae ho
sari duniya meri aankhon mein simaT aai hai
baad muddat ke jo tum mujh ko nazar aae ho
ho gae ghar se sabhi gham ke andhere ruKHsat
tum jo aae ho ba-andaz-e-sahar aae ho
ye bhi 'nasrin' mohabbat ka karishma hai ki tum
saf har moD se bach kar jo idhar aae ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.