der tak nikhat-e-gul ne jo sulaya hai mujhe
der tak nik.hat-e-gul ne jo sulāyā hai mujhe
aa ke sahrā kī havāoñ ne jagāyā hai mujhe
aisī kuchh duur hī manzil to na thī ham-safaro
merī āhista-ḳhirāmī ne thakāyā hai mujhe
gum huuñ lekin mirā pairāhan-e-‘ishrat dekho
un ke hoñToñ ne tabassum meñ chhupāyā hai mujhe
aisā lagtā hai ki maiḳhāne se ghar tak yaaro
de ke bāñhoñ kā sahārā koī laayā hai mujhe
aisī tābish hai ki tārīk huī hai duniyā
shiddat-e-hosh ne dīvāna banāyā hai mujhe
ranj-e-mahrūmī-e-āġhosh-e-bahārāñ na rahā
itne sahrāoñ ne siine se lagāyā hai mujhe
chhoḌ kar sahn-e-chaman jab bhī chalā huuñ maiñ 'shamīm'
ek ik phuul kī ḳhushbū ne manāyā hai mujhe
der tak nikhat-e-gul ne jo sulaya hai mujhe
aa ke sahra ki hawaon ne jagaya hai mujhe
aisi kuchh dur hi manzil to na thi ham-safaro
meri aahista-KHirami ne thakaya hai mujhe
gum hun lekin mera pairahan-e-‘ishrat dekho
un ke honTon ne tabassum mein chhupaya hai mujhe
aisa lagta hai ki maiKHane se ghar tak yaro
de ke banhon ka sahaara koi laya hai mujhe
aisi tabish hai ki tarik hui hai duniya
shiddat-e-hosh ne diwana banaya hai mujhe
ranj-e-mahrumi-e-aghosh-e-bahaaran na raha
itne sahraon ne sine se lagaya hai mujhe
chhoD kar sahn-e-chaman jab bhi chala hun main 'shamim'
ek ek phul ki KHushbu ne manaya hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.