deta hai dard dil ko sahaara kabhi kabhi
detā hai dard dil ko sahārā kabhī kabhī
hotā hai ġham ḳhushī se bhī pyārā kabhī kabhī
maanā ki ham ne pyaar kiyā jhuuT se magar
jhūToñ ne bhī to sach ko sañvārā kabhī kabhī
asbāb-e-māl-o-zar kī husūlī ke bāvajūd
hotā nahīñ bashar kā guzārā kabhī kabhī
ahl-e-jahāñ se tark-e-ta.alluq ke bāvajūd
karte haiñ log zikr hamārā kabhī kabhī
deta hai dard dil ko sahaara kabhi kabhi
hota hai gham KHushi se bhi pyara kabhi kabhi
mana ki hum ne pyar kiya jhuT se magar
jhuTon ne bhi to sach ko sanwara kabhi kabhi
asbab-e-mal-o-zar ki husuli ke bawajud
hota nahin bashar ka guzara kabhi kabhi
ahl-e-jahan se tark-e-talluq ke bawajud
karte hain log zikr hamara kabhi kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.