deta hai koi dil pe lagatar dastaken
detā hai koī dil pe lagātār dastakeñ
bechain kar rahī haiñ mujhe yaar dastakeñ
vo dar khule khule na khule is se kyā ġharaz
ham de rahe haiñ deñge lagātār dastakeñ
koī bhī dar mile to lapaktā huuñ us kī samt
aisī bañdhī haiñ hāthoñ se is baar dastakeñ
ham muflisoñ tak is ke sivā kyā pahuñch sakā
do-chār das sadā.eñ haiñ do-chār dastakeñ
ab kul milā ke ye hī asāsa hai mere paas
tanhā.ī ek chhat dar-o-dīvār dastakeñ
mujh jaise ḳhaak chhānne vāloñ pe jabr haiñ
tanhā.iyoñ meñ aisī pur-asrār dastakeñ
deta hai koi dil pe lagatar dastaken
bechain kar rahi hain mujhe yar dastaken
wo dar khule khule na khule is se kya gharaz
hum de rahe hain denge lagatar dastaken
koi bhi dar mile to lapakta hun us ki samt
aisi bandhi hain hathon se is bar dastaken
hum muflison tak is ke siwa kya pahunch saka
do-chaar das sadaen hain do-chaar dastaken
ab kul mila ke ye hi asasa hai mere pas
tanhai ek chhat dar-o-diwar dastaken
mujh jaise KHak chhanne walon pe jabr hain
tanhaiyon mein aisi pur-asrar dastaken
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.