dhaDakte dil ko pattharon mein DhunDhna to chahiye
dhaḌakte dil ko pattharoñ meñ DhūñDhnā to chāhiye
kahīñ ḳhudā mile hameñ koī ḳhudā to chāhiye
nahīñ ki apne dostoñ se kuchh umiid ho mujhe
magar kisī ko merā haal pūchhnā to chāhiye
kisī se rasm-e-nāma-o-payām band hī sahī
magar kabhī kabhī sabā ko Toknā to chāhiye
kisī ko jaise ab kisī kā intizār hī nahīñ
kanār-e-rahguzar kahīñ koī diyā to chāhiye
kabhī to maiñ bhī lutf-o-kaif-e-guftagu uThā sakūñ
kabhī ḳhamosh bām-o-dar ko bolnā to chāhiye
kaho to uTh ke khiḌkiyoñ ke uude parde khol duuñ
is āsmān par kahīñ koī ghaTā to chāhiye
zarā ruko koī bagūla uTh ke raqs to kare
ham ahl-e-dasht ke liye bhī rahnumā to chāhiye
na jaane 'zeb' mai-kade se jald kyoñ chalā gayā
kaTegī kaise raat koī āshnā to chāhiye
dhaDakte dil ko pattharon mein DhunDhna to chahiye
kahin KHuda mile hamein koi KHuda to chahiye
nahin ki apne doston se kuchh umid ho mujhe
magar kisi ko mera haal puchhna to chahiye
kisi se rasm-e-nama-o-payam band hi sahi
magar kabhi kabhi saba ko Tokna to chahiye
kisi ko jaise ab kisi ka intizar hi nahin
kanar-e-rahguzar kahin koi diya to chahiye
kabhi to main bhi lutf-o-kaif-e-guftagu uTha sakun
kabhi KHamosh baam-o-dar ko bolna to chahiye
kaho to uTh ke khiDkiyon ke ude parde khol dun
is aasman par kahin koi ghaTa to chahiye
zara ruko koi bagula uTh ke raqs to kare
hum ahl-e-dasht ke liye bhi rahnuma to chahiye
na jaane 'zeb' mai-kade se jald kyon chala gaya
kaTegi kaise raat koi aashna to chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.