dhaDka hai rah-e-gham mein mera dil jagah-jagah
dhaḌkā hai rāh-e-ġham meñ mirā dil jagah-jagah
da.avā huā hai zabt kā bātil jagah-jagah
khoyā gayā huuñ rāh-e-vafā meñ kuchh is tarah
phirtī hai DhūñDhtī mujhe manzil jagah-jagah
bas ik nigāh-e-lutf kī hasrat liye hue
phirtā huuñ ban ke husn kā saa.il jagah-jagah
tūfān-e-bahr-e-ġham meñ yūñhī Dūb-Dūb kar
paidā kiye haiñ ishq ne sāhil jagah-jagah
jiite bane hai ġham meñ na marte bane hai ab
darpesh hai bas ik yahī mushkil jagah-jagah
rang-e-shafaq ye tābish-e-anjum ye bū-e-gul
hai ḳhūn-e-ārzū mirā shāmil jagah-jagah
dekhe to kaise husn-e-haqīqat-nishāñ ko aañkh
parde haiñ ehtiyāt ke haa.il jagah-jagah
hai zarra-zarra ḳhaak kā ik hashr darkinār
irfān-e-ġham huā mujhe hāsil jagah-jagah
aalam vo shauq kā hai ki rukte nahīñ qadam
maanā ki ġham hai dil se muqābil jagah-jagah
is justujū-e-husn ne āvāra kar diyā
phirtā hai mujh ko le ke mirā dil jagah-jagah
'sāhir' mujhe malāl kisī se ho kis liye
mere suḳhan ke aaj haiñ qaa.il jagah-jagah
dhaDka hai rah-e-gham mein mera dil jagah-jagah
dawa hua hai zabt ka baatil jagah-jagah
khoya gaya hun rah-e-wafa mein kuchh is tarah
phirti hai DhunDhti mujhe manzil jagah-jagah
bas ek nigah-e-lutf ki hasrat liye hue
phirta hun ban ke husn ka sail jagah-jagah
tufan-e-bahr-e-gham mein yunhi Dub-Dub kar
paida kiye hain ishq ne sahil jagah-jagah
jite bane hai gham mein na marte bane hai ab
darpesh hai bas ek yahi mushkil jagah-jagah
rang-e-shafaq ye tabish-e-anjum ye bu-e-gul
hai KHun-e-arzu mera shamil jagah-jagah
dekhe to kaise husn-e-haqiqat-nishan ko aankh
parde hain ehtiyat ke hail jagah-jagah
hai zarra-zarra KHak ka ek hashr darkinar
irfan-e-gham hua mujhe hasil jagah-jagah
aalam wo shauq ka hai ki rukte nahin qadam
mana ki gham hai dil se muqabil jagah-jagah
is justuju-e-husn ne aawara kar diya
phirta hai mujh ko le ke mera dil jagah-jagah
'sahir' mujhe malal kisi se ho kis liye
mere suKHan ke aaj hain qail jagah-jagah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.