dhaDkan bhi munhasir hai meri teri yaad par
dhaDkan bhi munhasir hai meri teri yaad par
Syed Konain Haider Kazmi
MORE BYSyed Konain Haider Kazmi
dhaḌkan bhī munhasir hai mirī terī yaad par
chaltā nahīñ hai zor dil-e-nā-murād par
guzrī hai aadhī zindagī fikr-e-ma.āsh meñ
itne zarūrī kaam haiñ jo rakkhe baad par
itnā safed ḳhuun hai logoñ kā ab yahāñ
rishta bhī rakhte haiñ kisī zaatī mafād par
rakhtā hai paañv jaise koī apne saa.e par
maiñ ḳhud se laḌ paḌā huuñ ḳhudī ke fasād par
'kaunain' is zamīñ kī koī milkiyat na thī
aadam ne dastaḳhat kiye is jā.edād par
dhaDkan bhi munhasir hai meri teri yaad par
chalta nahin hai zor dil-e-na-murad par
guzri hai aadhi zindagi fikr-e-maash mein
itne zaruri kaam hain jo rakkhe baad par
itna safed KHun hai logon ka ab yahan
rishta bhi rakhte hain kisi zati mafad par
rakhta hai panw jaise koi apne sae par
main KHud se laD paDa hun KHudi ke fasad par
'kaunain' is zamin ki koi milkiyat na thi
aadam ne dastaKHat kiye is jaedad par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.