dhaDkan hai misl-e-qafiya to zindagi radif
dhaḌkan hai misl-e-qāfiya to zindagī radīf
bichhḌe na zindagī se kabhī do ghaḌī radīf
kuchh is tarah se joḌe se juḌ jaa.e zindagī
jaise ki apnā qāfiya ḳhud DhūñDhtī radīf
yuuñ qāfiya radīf kā sadiyoñ kā saath hai
pahlī dafa radīf banā.ī ga.ī radīf
merī ġhazal meñ ye kisī mahbūb kī tarah
ḳhāmosh hai kahīñ to kahīñ boltī radīf
jab dhaḌkanoñ ke qāfiye kam paḌ ga.e to phir
ye misrā-e-hayāt se chaltī banī radīf
lafzoñ meñ zarf-e-misrā o ma.ānī ke baad bhī
har ek qāfiye kā bharam kholtī radīf
zīnat ġhazal kī hai to hañsī qāfiyoñ se hai
damdār qāfiye hoñ to phir boltī radīf
jaise kisī do-shāle ko doshīza oḌh le
'rāshid' ke har ḳhayāl ko yuuñ oḌhtī radīf
dhaDkan hai misl-e-qafiya to zindagi radif
bichhDe na zindagi se kabhi do ghaDi radif
kuchh is tarah se joDe se juD jae zindagi
jaise ki apna qafiya KHud DhunDhti radif
yun qafiya radif ka sadiyon ka sath hai
pahli dafa radif banai gai radif
meri ghazal mein ye kisi mahbub ki tarah
KHamosh hai kahin to kahin bolti radif
jab dhaDkanon ke qafiye kam paD gae to phir
ye misra-e-hayat se chalti bani radif
lafzon mein zarf-e-misra o maani ke baad bhi
har ek qafiye ka bharam kholti radif
zinat ghazal ki hai to hansi qafiyon se hai
damdar qafiye hon to phir bolti radif
jaise kisi do-shaale ko doshiza oDh le
'rashid' ke har KHayal ko yun oDhti radif
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.