dhajji dhajji jubba-o-dastar hote dekhna
dhajjī dhajjī jubba-o-dastār hote dekhnā
'mīr' ko be-āshiqī bhī ḳhvār hote dekhnā
kasrat-e-dānishvarāñ ko qaht-e-dānish jānñā
vus.atoñ ko dasht kī dīvār hote dekhnā
rukne vaalī hai fishār-e-dam se nabz-e-inhirāf
ḳhud ko ab sar-tā-ba-pā inkār hote dekhnā
pīr-e-sad-sāla se sunñā qissa-e-āsūdgī
lamha lamha ziist ko dushvār hote dekhnā
dekhnā lafzoñ ko ma.anī se mafar karte hue
chup ke aalam meñ mirā iz.hār hote dekhnā
thiiñ jo kal tak shab-guzārī kā vasīla hijr meñ
ab unhīñ yādoñ ko tum āzār hote dekhnā
qasr-e-kohna ham ki kuchh mahsūs tak karte nahīñ
sirf apne aap ko mismār hote dekhnā
dhajji dhajji jubba-o-dastar hote dekhna
'mir' ko be-ashiqi bhi KHwar hote dekhna
kasrat-e-danishwaran ko qaht-e-danish jaanna
wusaton ko dasht ki diwar hote dekhna
rukne wali hai fishaar-e-dam se nabz-e-inhiraf
KHud ko ab sar-ta-ba-pa inkar hote dekhna
pir-e-sad-sala se sunna qissa-e-asudgi
lamha lamha zist ko dushwar hote dekhna
dekhna lafzon ko mani se mafar karte hue
chup ke aalam mein mera izhaar hote dekhna
thin jo kal tak shab-guzari ka wasila hijr mein
ab unhin yaadon ko tum aazar hote dekhna
qasr-e-kohna hum ki kuchh mahsus tak karte nahin
sirf apne aap ko mismar hote dekhna
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 254)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.