dhakke diye hain dhup ne sae gale paDe
dhakke diye haiñ dhuup ne saa.e gale paḌe
tum saath jab nahīñ the to raste gale paḌe
ab ḳhatm ho chukā hai buzurgoñ kā ehtirām
dariyā ko aa ke aaj kināre gale paḌe
tum jā chuke the aur yahāñ phir tumhāre ba.ad
ik dūsre ko chāhne vaale gale paḌe
kyā aur koī shahar meñ miltā nahīñ use
aa aa ke roz ishq hamāre gale paḌe
is muflisī ke bojh ne halkā kiyā mujhe
maiñ ḳhālī haath aayā to bachche gale paḌe
ai dost is tarah bhī guzartī hai zindagī
is ke gale paḌe kabhī us ke gale paḌe
dil se tumhārā naam miTāne kī der thī
phir is ke ba.ad peḌ parinde gale paḌe
dhakke diye hain dhup ne sae gale paDe
tum sath jab nahin the to raste gale paDe
ab KHatm ho chuka hai buzurgon ka ehtiram
dariya ko aa ke aaj kinare gale paDe
tum ja chuke the aur yahan phir tumhaare baad
ek dusre ko chahne wale gale paDe
kya aur koi shahar mein milta nahin use
aa aa ke roz ishq hamare gale paDe
is muflisi ke bojh ne halka kiya mujhe
main KHali hath aaya to bachche gale paDe
ai dost is tarah bhi guzarti hai zindagi
is ke gale paDe kabhi us ke gale paDe
dil se tumhaara nam miTane ki der thi
phir is ke baad peD parinde gale paDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.