Dhal chuki sham ghar ab lauT ke jaya jae
Dhal chukī shaam ghar ab lauT ke jaayā jaa.e
ā.īna ḳhud ko haqīqat kā dikhāyā jaa.e
hai abhī sub.h kabhī shaam bhī hogī us kī
chaḌhte sūraj ko utarnā bhī sikhāyā jaa.e
kyuuñ sitāre hī hoñ haqdār falak ke har dam
ḳhvāb zarre ko bhī azmat kā dikhāyā jaa.e
ek muddat se muqaddar mirā hai rūThā huā
tarz-e-kāvish se chalo us ko manāyā jaa.e
ik shajar soch rahā dhuup meñ tanhā sā khaḌā
kaise is shahr ko jalne se bachāyā jaa.e
is se pahle kī charāġhoñ se sajā.eñ mahfil
ek muflis kā bujhā chūlhā jalāyā jaa.e
Dhal chuki sham ghar ab lauT ke jaya jae
aaina KHud ko haqiqat ka dikhaya jae
hai abhi subh kabhi sham bhi hogi us ki
chaDhte suraj ko utarna bhi sikhaya jae
kyun sitare hi hon haqdar falak ke har dam
KHwab zarre ko bhi azmat ka dikhaya jae
ek muddat se muqaddar mera hai ruTha hua
tarz-e-kawish se chalo us ko manaya jae
ek shajar soch raha dhup mein tanha sa khaDa
kaise is shahr ko jalne se bachaya jae
is se pahle ki charaghon se sajaen mahfil
ek muflis ka bujha chulha jalaya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.