Dhalani tez raftari mein daKHl-andaz mat ho
Dhalānī tez raftārī meñ daḳhl-andāz mat ho
kisī biphre hue sailāb kā āġhāz mat ho
mohabbat iḳhtitāmī antare par aa na jaa.e
kisī jañgī tarāne kā bhaḌaktā saaz mat ho
khañDar hotī huī duniyā meñ terā giit gūñje
nayā āġhāz ban jā āḳhirī āvāz mat ho
yahāñ itne diye haiñ to kisī se lau lagā le
mirī āñkhoñ meñ raushan rah nazar-andāz mat ho
tū apnī raushnī kā haath pakḌe bhar uḌāneñ
kisī kī dhuñd meñ āmāda-e-parvāz mat ho
ye duniyā dekhtī rah jaa.e aisā ḳhvāb ho jā
magar tārīk lamhe kā kabhī hamrāz mat ho
bajā le sīTiyāñ na.are lagā parde girā de
magar apne kahānī-kār se nārāz mat ho
Dhalani tez raftari mein daKHl-andaz mat ho
kisi biphre hue sailab ka aaghaz mat ho
mohabbat iKHtitami antare par aa na jae
kisi jangi tarane ka bhaDakta saz mat ho
khanDar hoti hui duniya mein tera git gunje
naya aaghaz ban ja aaKHiri aawaz mat ho
yahan itne diye hain to kisi se lau laga le
meri aankhon mein raushan rah nazar-andaz mat ho
tu apni raushni ka hath pakDe bhar uDanen
kisi ki dhund mein aamada-e-parwaz mat ho
ye duniya dekhti rah jae aisa KHwab ho ja
magar tarik lamhe ka kabhi hamraaz mat ho
baja le siTiyan nare laga parde gira de
magar apne kahani-kar se naraaz mat ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.