Dhalegi raat to niklega aaftab koi
Dhalegī raat to niklegā āftāb koī
ki shahr-e-ḳhvāb pe aa.egā phir azaab koī
kisī kā zikr kahāñ hai mirī kahānī meñ
na jaane kis liye itnā hai aab aab koī
baḌā hasīn sā manzar hai apnī āñkhoñ meñ
dikhā.ī detā hai paanī meñ māhtāb koī
na kaam aa sakīñ hāzir-javābiyāñ merī
mujhe bhī kar gayā pal-bhar meñ lā-javāb koī
maiñ chaah kar bhī kisī moḌ par nahīñ ruktā
dil-o-nigāh meñ rahtā hai iztirāb koī
maiñ harf harf ise paḌh rahā huuñ barsoñ se
ye sail-e-vaqt hai jaise khulī kitāb koī
ye ehtimām-e-nazāra bhī ḳhuub hai 'naushād'
dikhāne aa.ī hai duniyā mujhe bhī ḳhvāb koī
Dhalegi raat to niklega aaftab koi
ki shahr-e-KHwab pe aaega phir azab koi
kisi ka zikr kahan hai meri kahani mein
na jaane kis liye itna hai aab aab koi
baDa hasin sa manzar hai apni aankhon mein
dikhai deta hai pani mein mahtab koi
na kaam aa sakin hazir-jawabiyan meri
mujhe bhi kar gaya pal-bhar mein la-jawab koi
main chah kar bhi kisi moD par nahin rukta
dil-o-nigah mein rahta hai iztirab koi
main harf harf ise paDh raha hun barson se
ye sail-e-waqt hai jaise khuli kitab koi
ye ehtimam-e-nazara bhi KHub hai 'naushad'
dikhane aai hai duniya mujhe bhi KHwab koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.