Dhalte din ke dhundhle sae
Dhalte din ke dhuñdhle saa.e
shaam ko mujh se milne aa.e
shower se jab bādal barse
zulfeñ khole shaam nahā.e
dariyā sā aage baḌhtā chal
raah meñ chāhe parvat aa.e
shaam Dhale phir mere ghar meñ
kis ne aa kar bulb jalā.e
tum sā koī mujh se lipTe
ḳhud ro.e aur mujhe rulā.e
bādāmī bādal ke pīchhe
ek parinda uḌtā jaa.e
manzil pīchhe chhūT ga.ī hai
dekh kahāñ tak rasta jaa.e
lahreñ muḌ ke dekh rahī haiñ
duur khaḌā pul haath hilā.e
Dhalte din ke dhundhle sae
sham ko mujh se milne aae
shower se jab baadal barse
zulfen khole sham nahae
dariya sa aage baDhta chal
rah mein chahe parwat aae
sham Dhale phir mere ghar mein
kis ne aa kar bulb jalae
tum sa koi mujh se lipTe
KHud roe aur mujhe rulae
baadami baadal ke pichhe
ek parinda uDta jae
manzil pichhe chhuT gai hai
dekh kahan tak rasta jae
lahren muD ke dekh rahi hain
dur khaDa pul hath hilae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.