Dhalte hue suraj ke sahaare nahin lete
Dhalte hue sūraj ke sahāre nahīñ lete
chāhat meñ kabhī dhuup kināre nahīñ lete
apne hī dar-o-bām kī taz.īn kī ḳhātir
aġhyār kī bastī se ishāre nahīñ lete
jal jaane kā andesha jinheñ hotā hai lāhaq
vo phuul se hāthoñ meñ sharāre nahīñ lete
barfāb meñ rakhte haiñ jo ḳhvāboñ ke nasheman
vo log kabhī chāñd sitāre nahīñ lete
kab tak koī ḳhvāhish ke khilaunoñ se bahaltā
phaT jaa.eñ to bachche bhī ġhubāre nahīñ lete
jitnā bhī hai ḳhāshāk ko miTTī se sharaf hai
darvesh kabhī mahl-manāre nahīñ lete
achchhā hai 'kafīl' aañkh ke manzar abhī dekho
dam toḌtī lahroñ ke nazāre nahīñ lete
Dhalte hue suraj ke sahaare nahin lete
chahat mein kabhi dhup kinare nahin lete
apne hi dar-o-baam ki tazin ki KHatir
aghyar ki basti se ishaare nahin lete
jal jaane ka andesha jinhen hota hai lahaq
wo phul se hathon mein sharare nahin lete
barfab mein rakhte hain jo KHwabon ke nasheman
wo log kabhi chand sitare nahin lete
kab tak koi KHwahish ke khilaunon se bahalta
phaT jaen to bachche bhi ghubare nahin lete
jitna bhi hai KHashak ko miTTi se sharaf hai
darwesh kabhi mahl-manare nahin lete
achchha hai 'kafil' aankh ke manzar abhi dekho
dam toDti lahron ke nazare nahin lete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.