dhire dhire aap ka gulshan mein aana yaad hai
dhire dhire aap ka gulshan mein aana yaad hai
Asad Ahmad Mujaddadi Asad
MORE BYAsad Ahmad Mujaddadi Asad
dhīre dhīre aap kā gulshan meñ aanā yaad hai
chorī chorī mujh se vo āñkheñ churānā yaad hai
chalte chalte raah meñ aur bātoñ bātoñ meñ kabhī
vo tirā nazreñ milā kar muskurānā yaad hai
miT nahīñ saktī kabhī dil se adā-e-dil-navāz
naaz se mānind-e-āhū aanā jaanā yaad hai
haa.e vo mastī kā aalam vo nirālī shoḳhiyāñ
husn kī jādūgarī kā vo zamāna yaad hai
jin ġhalat-andāz nazroñ se kabhī dekhā mujhe
dil huā tīr-e-nazar kā bas nishāna yaad hai
kaale bādal kī tarah lahrā ga.ī zulf-e-siyāh
aur vo sāvan ghaTā kā kaañp jaanā yaad hai
vo jo guzrā thā kabhī is anjuman meñ ai 'asad'
zindagī kā besh-qīmat vo zamāna yaad hai
dhire dhire aap ka gulshan mein aana yaad hai
chori chori mujh se wo aankhen churana yaad hai
chalte chalte rah mein aur baaton baaton mein kabhi
wo tera nazren mila kar muskurana yaad hai
miT nahin sakti kabhi dil se ada-e-dil-nawaz
naz se manind-e-ahu aana jaana yaad hai
hae wo masti ka aalam wo nirali shoKHiyan
husn ki jadugari ka wo zamana yaad hai
jin ghalat-andaz nazron se kabhi dekha mujhe
dil hua tir-e-nazar ka bas nishana yaad hai
kale baadal ki tarah lahra gai zulf-e-siyah
aur wo sawan ghaTa ka kanp jaana yaad hai
wo jo guzra tha kabhi is anjuman mein ai 'asad'
zindagi ka besh-qimat wo zamana yaad hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.