dhoka tere wajud se aage nikal gaya
dhoka tire vajūd se aage nikal gayā
yā'nī tū hast-o-būd se aage nikal gayā
ḳhushbū kī tarh phuul se maiñ phailtā rahā
aur is tarah vajūd se aage nikal gayā
mansūr sī 'atā huī dīvāngī mujhe
maiñ sajda-o-sujūd se aage nikal gayā
hai irtiqā-e-fard meñ jur.at kā ye maqām
jo jam gayā jumūd se aage nikal gayā
lā ke shu'ūr se mujhe laulāk mil gayā
aur maiñ tirī hudūd se aage nikal gayā
ḳhākistarī ko ḳhaak par aisā sukūñ milā
har naam har numūd se aage nikal gayā
apnī ḳhudī meñ Duub ke mujh ko ḳhudā milā
'hasrat' davā darūd se aage nikal gayā
dhoka tere wajud se aage nikal gaya
ya'ni tu hast-o-bud se aage nikal gaya
KHushbu ki tarh phul se main phailta raha
aur is tarah wajud se aage nikal gaya
mansur si 'ata hui diwangi mujhe
main sajda-o-sujud se aage nikal gaya
hai irtiqa-e-fard mein jurat ka ye maqam
jo jam gaya jumud se aage nikal gaya
la ke shu'ur se mujhe laulak mil gaya
aur main teri hudud se aage nikal gaya
KHakistari ko KHak par aisa sukun mila
har nam har numud se aage nikal gaya
apni KHudi mein Dub ke mujh ko KHuda mila
'hasrat' dawa darud se aage nikal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.