dhoke khata raha bar bar aadmi
dhoke khātā rahā baar baar aadmī
phir bhī kartā rahā e.atibār aadmī
ghūmtā phirtā hai zehn-o-dil meñ liye
mas.ale zindagī ke hazār aadmī
apne matlab kī ḳhātir mire aap ke
Dāltā hai diloñ meñ darār aadmī
koī aatā nahīñ muddatoñ tak yahāñ
kis kā kartā hai ye intizār aadmī
mas.ale ranj-o-ġham jaal phailā.e haiñ
hotā rahtā hai har dam shikār aadmī
Thokareñ zaḳhm par zaḳhm khātā rahā
chāhtā hai magar eqtidār aadmī
ittifāqan hī tum ko mile to mile
shaḳhsiyat se bahut bā-vaqār aadmī
bebasī muflisī tang-dastī kā hai
chaltā phirtā huā ishtihār aadmī
bhuul hotī hai sarzad kabhī na kabhī
chāhe kitnā hī ho hoshiyār aadmī
nā-tavāñ zard chehroñ pe 'anjum' thakan
jis taraf dekhiye be-qarār aadmī
dhoke khata raha bar bar aadmi
phir bhi karta raha eatibar aadmi
ghumta phirta hai zehn-o-dil mein liye
masale zindagi ke hazar aadmi
apne matlab ki KHatir mere aap ke
Dalta hai dilon mein darar aadmi
koi aata nahin muddaton tak yahan
kis ka karta hai ye intizar aadmi
masale ranj-o-gham jal phailae hain
hota rahta hai har dam shikar aadmi
Thokaren zaKHm par zaKHm khata raha
chahta hai magar eqtidar aadmi
ittifaqan hi tum ko mile to mile
shaKHsiyat se bahut ba-waqar aadmi
bebasi muflisi tang-dasti ka hai
chalta phirta hua ishtihaar aadmi
bhul hoti hai sarzad kabhi na kabhi
chahe kitna hi ho hoshiyar aadmi
na-tawan zard chehron pe 'anjum' thakan
jis taraf dekhiye be-qarar aadmi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.