dhuan gar uThta hai dil se ki jaan se uThne do
dhuāñ gar uThtā hai dil se ki jaañ se uThne do
mujhe na roko hasīno jahāñ se uThne do
kisī kī ḳhāk-e-kaf-e-pā hai kā.enāt mirī
sitāro chhoḌo mujhe āsmāñ se uThne do
tum apne sar pe ye ilzām kyoñ uThāte ho
vafā kā mudda.ā merī zabāñ se uThne do
tumhāre jaane kī tadbīr bhī nikālūñgā
charāġh bujhte hue āshiyāñ se uThne do
chaTān ġham kī jo dil par rakhī hai sadiyoñ se
kabhī to dard ke āb-e-ravāñ se uThne do
mere kafan meñ bhī ik daaġh tum lagā denā
mirī ye laash magar āstāñ se uThne do
tumhāre tiir ko mil jā.egī jagah koī
bas ek aah dil-e-mehrbāñ se uThne do
kahāñ kā chāñd kyā sūraj kahāñ ke sayyāre
mujhe fareb kī is kahkashāñ se uThne do
'nadīm' vasl kī sūrat nikāl hī legā
badan ko pahle zarā darmiyāñ se uThne do
dhuan gar uThta hai dil se ki jaan se uThne do
mujhe na roko hasino jahan se uThne do
kisi ki KHak-e-kaf-e-pa hai kaenat meri
sitaro chhoDo mujhe aasman se uThne do
tum apne sar pe ye ilzam kyon uThate ho
wafa ka muddaa meri zaban se uThne do
tumhaare jaane ki tadbir bhi nikalunga
charagh bujhte hue aashiyan se uThne do
chaTan gham ki jo dil par rakhi hai sadiyon se
kabhi to dard ke aab-e-rawan se uThne do
mere kafan mein bhi ek dagh tum laga dena
meri ye lash magar aastan se uThne do
tumhaare tir ko mil jaegi jagah koi
bas ek aah dil-e-mehrban se uThne do
kahan ka chand kya suraj kahan ke sayyare
mujhe fareb ki is kahkashan se uThne do
'nadim' wasl ki surat nikal hi lega
badan ko pahle zara darmiyan se uThne do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.