dhuan hi dhuan shah-rahon mein tha
dhuāñ hī dhuāñ shāh-rāhoñ meñ thā
mirā shahr sho.aloñ kī bāñhoñ meñ thā
hayā kā zarā shā.iba tak nahīñ
kisī kī nashīlī nigāhoñ meñ thā
baḌe pyaar se aaj mujh se milā
jo haa.il kabhī merī rāhoñ meñ thā
ba-zāhir to thā vo farishta-sifat
magar mere jhūTe gavāhoñ meñ thā
milī be-gunāhī kī us ko sanad
jo Duubā sarāpā gunāhoñ meñ thā
'kamāl' aaj vo bhī harīfoñ meñ hai
jo barsoñ mire ḳhair-ḳhvāhoñ meñ thā
dhuan hi dhuan shah-rahon mein tha
mera shahr shoalon ki banhon mein tha
haya ka zara shaiba tak nahin
kisi ki nashili nigahon mein tha
baDe pyar se aaj mujh se mila
jo hail kabhi meri rahon mein tha
ba-zahir to tha wo farishta-sifat
magar mere jhuTe gawahon mein tha
mili be-gunahi ki us ko sanad
jo Duba sarapa gunahon mein tha
'kamal' aaj wo bhi harifon mein hai
jo barson mere KHair-KHwahon mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.