dhuan hone ke dhoke mein na rahna
dhuāñ hone ke dhoke meñ na rahnā
ziyāñ hone ke dhoke meñ na rahnā
faqat dīvār-o-dar haiñ ḳhvāhishoñ ke
makāñ hone ke dhoke meñ na rahnā
ye sunte haiñ vahāñ bhī kuchh nahīñ hai
yahāñ hone ke dhoke meñ na rahnā
na jaane kab ye dil hī baiTh jaa.e
ravāñ hone ke dhoke meñ na rahnā
nishāñ manzar-ba-manzar sab ayaañ haiñ
nihāñ hone ke dhoke meñ na rahnā
dhuan hone ke dhoke mein na rahna
ziyan hone ke dhoke mein na rahna
faqat diwar-o-dar hain KHwahishon ke
makan hone ke dhoke mein na rahna
ye sunte hain wahan bhi kuchh nahin hai
yahan hone ke dhoke mein na rahna
na jaane kab ye dil hi baiTh jae
rawan hone ke dhoke mein na rahna
nishan manzar-ba-manzar sab ayan hain
nihan hone ke dhoke mein na rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.