dhuan uTh raha hai jo bahar miyan
dhuāñ uTh rahā hai jo bāhar miyāñ
sulagtā hai kuchh apne andar miyāñ
maiñ ḳhud to bhaTakne kā qaa.il nahīñ
ghumātā phire hai muqaddar miyāñ
gumāñ baiThe baiThe ye aksar huā
gayā hai abhī koī uTh kar miyāñ
ye maanā ki dīvār-o-dar haiñ vahī
magar ab ye lagtā nahīñ ghar miyāñ
mire ruḳh pe tahrīr kyā kuchh nahīñ
kabhī koī dekhe to paḌh kar miyāñ
kabhī ḳhud ko dhartī se bhī joḌiye
uḌeñge kahāñ tak falak par miyāñ
bas ik rasm thī jo nibhāte rahe
huī kab ḳhushī us se mil kar miyāñ
dhuan uTh raha hai jo bahar miyan
sulagta hai kuchh apne andar miyan
main KHud to bhaTakne ka qail nahin
ghumata phire hai muqaddar miyan
guman baiThe baiThe ye aksar hua
gaya hai abhi koi uTh kar miyan
ye mana ki diwar-o-dar hain wahi
magar ab ye lagta nahin ghar miyan
mere ruKH pe tahrir kya kuchh nahin
kabhi koi dekhe to paDh kar miyan
kabhi KHud ko dharti se bhi joDiye
uDenge kahan tak falak par miyan
bas ek rasm thi jo nibhate rahe
hui kab KHushi us se mil kar miyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.