dhund chhaTne ke intizar mein hun
dhund chhaTne ke intizār meñ huuñ
maiñ abhī apne hī ġhubār meñ huuñ
jis ko aaseb kah rahe haiñ log
maiñ usī ishq ke hisār meñ huuñ
shor āñgan meñ hai to hotā rahe
maiñ to dastak ke intizār meñ huuñ
ma.arka ḳhatm kyoñ nahīñ hotā
kab se masrūf ār-pār meñ huuñ
zindagī aur chiiz hotī hai
maiñ to sāñsoñ ke kārobār meñ huuñ
ye mirī pyaas kā ilāqa hai
ya.anī āñkhoñ ke ābshār meñ huuñ
kal thā maiñ sāhib-e-yad-e-baizā
ab añdheroñ ke iḳhtiyār meñ huuñ
āḳhirī aadmī huuñ maiñ 'tāriq'
aur maiñ āḳhirī qatār meñ huuñ
dhund chhaTne ke intizar mein hun
main abhi apne hi ghubar mein hun
jis ko aaseb kah rahe hain log
main usi ishq ke hisar mein hun
shor aangan mein hai to hota rahe
main to dastak ke intizar mein hun
marka KHatm kyon nahin hota
kab se masruf aar-par mein hun
zindagi aur chiz hoti hai
main to sanson ke karobar mein hun
ye meri pyas ka ilaqa hai
yani aankhon ke aabshaar mein hun
kal tha main sahib-e-yad-e-baiza
ab andheron ke iKHtiyar mein hun
aaKHiri aadmi hun main 'tariq'
aur main aaKHiri qatar mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.