dhund chhaTne lagi rasta ho gaya
dhund chhaTne lagī rāsta ho gayā
'ishq jab husn kā rahnumā ho gayā
tum sulagte rahe ham bhī jalte rahe
qarz donoñ kā āḳhir adā ho gayā
dil meñ rahiye sadā apne ghar kī tarah
aaj se dil mirā aap kā ho gayā
raah chalte hue dekh 'uryāñ badan
aadmī aaj haivān sā ho gayā
ab to insāniyat sū-e-sahrā chalī
bhiiḌ meñ aadmī bheḌiyā ho gayā
yak-ba-yak jo paḌī un kī nazr-e-karam
ek patthar-sifat aa.ina ho gayā
sar salāmat hai 'ḳhushtar' na ab aabrū
is zamāne ko āḳhir ye kyā ho gayā
dhund chhaTne lagi rasta ho gaya
'ishq jab husn ka rahnuma ho gaya
tum sulagte rahe hum bhi jalte rahe
qarz donon ka aaKHir ada ho gaya
dil mein rahiye sada apne ghar ki tarah
aaj se dil mera aap ka ho gaya
rah chalte hue dekh 'uryan badan
aadmi aaj haiwan sa ho gaya
ab to insaniyat su-e-sahra chali
bhiD mein aadmi bheDiya ho gaya
yak-ba-yak jo paDi un ki nazr-e-karam
ek patthar-sifat aaina ho gaya
sar salamat hai 'KHushtar' na ab aabru
is zamane ko aaKHir ye kya ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.