dhundh mazi ki wo aab-e-chashm se dhone laga
dhundh maazī kī vo āb-e-chashm se dhone lagā
aa.ine meñ dekh kar mujh ko koī rone lagā
mil ga.e kuchh phuul sūkhe kal kitāboñ meñ mujhe
aur kisī kī yaad kā jangal harā hone lagā
ḳhvāb mujh ko phir pareshāñ kar rahe haiñ āj-kal
kaun jaane jism ke andar mire sone lagā
TuuT kar jaate hue tāroñ ne ye mujh se kahā
chāñd bhī ab āsmāñ meñ nafrateñ bone lagā
aa gayā ġhazloñ kā majmūa mirā bāzār meñ
dil kā saarā bojh ik dīvān ab Dhone lagā
pyaas kam hone lagī jab se samundar kī 'ratan'
bas usī din se nadī kā qad baḌā hone lagā
dhundh mazi ki wo aab-e-chashm se dhone laga
aaine mein dekh kar mujh ko koi rone laga
mil gae kuchh phul sukhe kal kitabon mein mujhe
aur kisi ki yaad ka jangal hara hone laga
KHwab mujh ko phir pareshan kar rahe hain aaj-kal
kaun jaane jism ke andar mere sone laga
TuT kar jate hue taron ne ye mujh se kaha
chand bhi ab aasman mein nafraten bone laga
aa gaya ghazlon ka majmua mera bazar mein
dil ka sara bojh ek diwan ab Dhone laga
pyas kam hone lagi jab se samundar ki 'ratan'
bas usi din se nadi ka qad baDa hone laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.