dhundli dhundli yaadon mein ek raushan raushan chehra hai
dhundli dhundli yaadon mein ek raushan raushan chehra hai
Mariyam Fatima
MORE BYMariyam Fatima
dhuñdlī dhuñdlī yādoñ meñ ik raushan raushan chehra hai
jānā-pahchānā lagtā hai shāyad koī apnā hai
bikhre bikhre lamhoñ meñ ik aisā bhī to lamha hai
girte girte raste par jab us ne mujh ko thāmā hai
motī jaisī pyārī āñkheñ lekin in meñ aañsū kyoñ
furqat apnī chand roza hai ham ko to phir milnā hai
kitne nādāñ the ham donoñ duniyā se laḌ paḌte the
vaqt ne lekin yaad dilāyā duniyā meñ hī rahnā hai
dil ke TuuTe darvāze par phir ehsās ne dastak dī
raat ke kaale āñchal meñ phir koī taara chamkā hai
ThanDe ThanDe chāñd ke TukḌe uthle uthle dariyā meñ
niile piile charḳh-e-barīñ par sūraj jaltā bujhtā hai
chāñd sitāre phuul ujāle titlī kaliyāñ rang hazār
merā paikar to lagtā hai ik tasvīr kā hissa hai
kaisī achchhī dhuup khilī hai mere ujḌe āñgan meñ
āḳhirī ruḳhsat lene shāyad mere ghar vo aaya hai
tū ne to isrār kiyā thā mujh se ab vo rabt nahīñ
jaate jaate phir kyoñ tū ne mujh ko muḌ kar dekhā hai
us ke mere biich meñ haa.il ek lakīr na-dīda hai
jis ke aage paañv baḌhānā nā-mumkin sā lagtā hai
dhundli dhundli yaadon mein ek raushan raushan chehra hai
jaana-pahchana lagta hai shayad koi apna hai
bikhre bikhre lamhon mein ek aisa bhi to lamha hai
girte girte raste par jab us ne mujh ko thama hai
moti jaisi pyari aankhen lekin in mein aansu kyon
furqat apni chand roza hai hum ko to phir milna hai
kitne nadan the hum donon duniya se laD paDte the
waqt ne lekin yaad dilaya duniya mein hi rahna hai
dil ke TuTe darwaze par phir ehsas ne dastak di
raat ke kale aanchal mein phir koi tara chamka hai
ThanDe ThanDe chand ke TukDe uthle uthle dariya mein
nile pile charKH-e-barin par suraj jalta bujhta hai
chand sitare phul ujale titli kaliyan rang hazar
mera paikar to lagta hai ek taswir ka hissa hai
kaisi achchhi dhup khili hai mere ujDe aangan mein
aaKHiri ruKHsat lene shayad mere ghar wo aaya hai
tu ne to israr kiya tha mujh se ab wo rabt nahin
jate jate phir kyon tu ne mujh ko muD kar dekha hai
us ke mere bich mein hail ek lakir na-dida hai
jis ke aage panw baDhana na-mumkin sa lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.