DhunD leta hun wajah koi nibhane ke liye
DhūñD letā huuñ vajah koī nibhāne ke liye
varna bāteñ haiñ ka.ī chhoḌ ke jaane ke liye
tere message ko sañbhālā hai baḌī muddat se
dil machal jaa.e to auqāt dikhāne ke liye
vo jo be-nām sā ik rabt thā ab ḳhatm kareñ
ḳhat ke aurāq nikāle haiñ jalāne ke liye
tū ye samjhe ki asar dil pe nahīñ hotā hai
jab ki phir maut to ibrat hai zamāne ke liye
ham the ḳhud.dār so gumnām rahe saarī umr
log kam-zarf bane naam kamāne ke liye
jab tire shahr meñ ushshāq kā majma.a hogā
ham bhī ā.eñge vahāñ sher sunāne ke liye
Thokareñ khā ke jo sajde meñ girā itnā kahā
ma.azarat mere ḳhudā der se aane ke liye
DhunD leta hun wajah koi nibhane ke liye
warna baaten hain kai chhoD ke jaane ke liye
tere message ko sanbhaala hai baDi muddat se
dil machal jae to auqat dikhane ke liye
wo jo be-nam sa ek rabt tha ab KHatm karen
KHat ke auraq nikale hain jalane ke liye
tu ye samjhe ki asar dil pe nahin hota hai
jab ki phir maut to ibrat hai zamane ke liye
hum the KHuddar so gumnam rahe sari umr
log kam-zarf bane nam kamane ke liye
jab tere shahr mein ushshaq ka majma hoga
hum bhi aaenge wahan sher sunane ke liye
Thokaren kha ke jo sajde mein gira itna kaha
mazarat mere KHuda der se aane ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.