DhunD leta jo unhen DhunDhne wala hota
DhūñD letā jo unheñ DhūñDhne vaalā hotā
dekh letā jo koī dekhne vaalā hotā
mujh ko is chaah meñ kuchh lutf do-bālā hotā
kaash nāseh hī tirā chāhne vaalā hotā
ham bhī marte tirī hūroñ pe magar ai zāhid
in butoñ se jo kuchh andāz nirālā hotā
kyā guzartī hai tire dil pe batā to kambaḳht
haa.e itnā hī koī pūchhne vaalā hotā
mere ghar par se mileñ aa ke balā.eñ kitnī
tum ne jab tak mujhe bosoñ hī pe Taalā hotā
ai ġham-e-yār mujhe tū ne ghulā kar khāyā
pahle khātā to tire muñh kā nivālā hotā
aap ne zulf ke uqde to bahut khulvā.e
merā āsān sā ik kaam nikālā hotā
tum ne kuchh ishq kā anjām na sochā 'akbar'
kyoñ bigaḌtī jo tabī.at ko sañbhālā hotā
DhunD leta jo unhen DhunDhne wala hota
dekh leta jo koi dekhne wala hota
mujh ko is chah mein kuchh lutf do-baala hota
kash naseh hi tera chahne wala hota
hum bhi marte teri huron pe magar ai zahid
in buton se jo kuchh andaz nirala hota
kya guzarti hai tere dil pe bata to kambaKHt
hae itna hi koi puchhne wala hota
mere ghar par se milen aa ke balaen kitni
tum ne jab tak mujhe boson hi pe Tala hota
ai gham-e-yar mujhe tu ne ghula kar khaya
pahle khata to tere munh ka niwala hota
aap ne zulf ke uqde to bahut khulwae
mera aasan sa ek kaam nikala hota
tum ne kuchh ishq ka anjam na socha 'akbar'
kyon bigaDti jo tabiat ko sanbhaala hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.