DhunDa teri zulf ka saya bhul hui sharminda hun
DhūñDā terī zulf kā saayā bhuul huī sharminda huuñ
pyāsā man thā dhokā khāyā bhuul huī sharminda huuñ
shahr kī raushan rāhoñ meñ bhī terī bāñheñ yaad aa.iiñ
ḳhud ko tanhā tanhā paayā bhuul huī sharminda huuñ
shahr-e-vafā ke saare raste terī jānib hī nikle
yā phir maiñ ne hosh gañvāyā bhuul huī sharminda huuñ
kaise kaise maqnātīsī ruup saje the raste meñ
lauT ke tere paas hī aayā bhuul huī sharminda huuñ
jaise koī ziddī bachcha rokā jaa.e magar na aa.e
tere dar ko des banāyā bhuul huī sharminda huuñ
is duniyā meñ aur bhī ġham the mīThe mīThe dard bhare
ġham terā hī chāhā paayā bhuul huī sharminda huuñ
begānoñ ne pyaar diyā to ham ne dāman khīñch liyā
apnoñ se hī rabt baḌhāyā bhuul huī sharminda huuñ
jis māhaul ke tapte mausam dukh hī dete the 'in.ām'
us par bhī sāvan barsāyā bhuul huī sharminda huuñ
DhunDa teri zulf ka saya bhul hui sharminda hun
pyasa man tha dhoka khaya bhul hui sharminda hun
shahr ki raushan rahon mein bhi teri banhen yaad aain
KHud ko tanha tanha paya bhul hui sharminda hun
shahr-e-wafa ke sare raste teri jaanib hi nikle
ya phir main ne hosh ganwaya bhul hui sharminda hun
kaise kaise maqnatisi rup saje the raste mein
lauT ke tere pas hi aaya bhul hui sharminda hun
jaise koi ziddi bachcha roka jae magar na aae
tere dar ko des banaya bhul hui sharminda hun
is duniya mein aur bhi gham the miThe miThe dard bhare
gham tera hi chaha paya bhul hui sharminda hun
beganon ne pyar diya to hum ne daman khinch liya
apnon se hi rabt baDhaya bhul hui sharminda hun
jis mahaul ke tapte mausam dukh hi dete the 'inam'
us par bhi sawan barsaya bhul hui sharminda hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.