DhunDh kar koi dikha de zindagi is shahr mein
DhunDh kar koi dikha de zindagi is shahr mein
Vipin Suneja Shayeq
MORE BYVipin Suneja Shayeq
DhūñDh kar koī dikhā de zindagī is shahr meñ
har taraf chhā.ī huī hai murdanī is shahr meñ
kuchh yahāñ hotā rahe par koī kuchh kahtā nahīñ
ek 'ādat ban ga.ī hai ḳhāmushī is shahr meñ
ab ḳhudā kā nām-levā bhī nahīñ koī yahāñ
jurm Thahrā dī ga.ī hai bandagī is shahr meñ
ab to jaise har kisī ko kans kā hai intizār
aa.e aur aa kar machā de khalbalī is shahr meñ
dhuul meñ hiire paḌe haiñ jauharī koī nahīñ
mujh ko dekho kar rahā huuñ naukrī is shahr meñ
chhoḌ kar is ko kisī din maiñ chalā jā.ūñ kahīñ
phir kabhī bhī ho na merī vāpsī is shahr meñ
DhunDh kar koi dikha de zindagi is shahr mein
har taraf chhai hui hai murdani is shahr mein
kuchh yahan hota rahe par koi kuchh kahta nahin
ek 'adat ban gai hai KHamushi is shahr mein
ab KHuda ka nam-lewa bhi nahin koi yahan
jurm Thahra di gai hai bandagi is shahr mein
ab to jaise har kisi ko kans ka hai intizar
aae aur aa kar macha de khalbali is shahr mein
dhul mein hire paDe hain jauhari koi nahin
mujh ko dekho kar raha hun naukri is shahr mein
chhoD kar is ko kisi din main chala jaun kahin
phir kabhi bhi ho na meri wapsi is shahr mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.