DhunDhna shart agar hai to barabar DhunDo
DhunDhna shart agar hai to barabar DhunDo
Inder Sauroop Datt Nadan
MORE BYInder Sauroop Datt Nadan
DhūñDhnā shart agar hai to barābar DhūñDo
jis ne lanka ko jalāyā thā vo bandar DhūñDo
aaj markūz haiñ duniyā kī nigāheñ tum par
‘aib-poshī ke liye koī to zevar DhūñDo
apne hamsā.e ke siine meñ utāro ḳhanjar
aur phir ḳhud meñ masīhā.ī kā jauhar DhūñDo
haiñ mire zaḳhm tumhāre liye paiġhām-e-hayāt
in kī tahzīb kī ḳhātir koī nashtar DhūñDo
tum na samjhoge kabhī vaqt ke poras kā javāb
jaao bābil ke mazāroñ meñ sikandar DhūñDo
hai taqāzā bhī yahī pyās-nagar kā 'nādāñ'
pī gayā jis ko himāla vo samundar DhūñDo
DhunDhna shart agar hai to barabar DhunDo
jis ne lanka ko jalaya tha wo bandar DhunDo
aaj markuz hain duniya ki nigahen tum par
‘aib-poshi ke liye koi to zewar DhunDo
apne hamsae ke sine mein utaro KHanjar
aur phir KHud mein masihai ka jauhar DhunDo
hain mere zaKHm tumhaare liye paigham-e-hayat
in ki tahzib ki KHatir koi nashtar DhunDo
tum na samjhoge kabhi waqt ke poras ka jawab
jao babil ke mazaron mein sikandar DhunDo
hai taqaza bhi yahi pyas-nagar ka 'nadan'
pi gaya jis ko himala wo samundar DhunDo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.