DhunDhta rahta hun jis ko manzilon ke aas-pas
DhūñDhtā rahtā huuñ jis ko manziloñ ke ās-pās
vo milā hai mujh ko aksar mushkiloñ ke ās-pās
be-zabāñ maqtūl hotā hai magar us kā lahū
chhoḌ jaatā hai nishānī qātiloñ ke ās-pās
mil nahīñ paate haiñ jab duniyā meñ majnūñ kī tarah
raqs kartī hai mohabbat do diloñ ke ās-pās
bastiyoñ ko chhoḌ kar darvesh jaate hī nahīñ
ghūmte phirte mileñge mahfiloñ ke ās-pās
mauj kī sāzish ko ab tak kaun samjhā hai 'hunar'
Dūbne vaale mile haiñ sāhiloñ ke ās-pās
DhunDhta rahta hun jis ko manzilon ke aas-pas
wo mila hai mujh ko aksar mushkilon ke aas-pas
be-zaban maqtul hota hai magar us ka lahu
chhoD jata hai nishani qatilon ke aas-pas
mil nahin pate hain jab duniya mein majnun ki tarah
raqs karti hai mohabbat do dilon ke aas-pas
bastiyon ko chhoD kar darwesh jate hi nahin
ghumte phirte milenge mahfilon ke aas-pas
mauj ki sazish ko ab tak kaun samjha hai 'hunar'
Dubne wale mile hain sahilon ke aas-pas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.