Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

DhunDiye din raat hafton aur mahinon ke baTan

Imran Shamshad Narmi

DhunDiye din raat hafton aur mahinon ke baTan

Imran Shamshad Narmi

MORE BYImran Shamshad Narmi

    DhūñDiye din raat haftoñ aur mahīnoñ ke baTan

    lā-makāñ meñ kho ga.e haiñ in makīnoñ ke button

    sirf chhūne se nazar aatā hai manzar fareb

    dekhne meñ ḳhush-numā haiñ ābgīnoñ ke button

    daras-e-taqvā dene vaale qabā par dekhiye

    sone chāñdī aur chamkīle nagīnoñ ke button

    ab garebāñ chaak matlab batāne ke liye

    kholne paḌte haiñ aksar āstīnoñ ke button

    jab sadā-e-kun uglā marhala aa jā.egā

    āsmāñ ke kaaj meñ hoñge zamīnoñ ke button

    koī hai, varna ye duniyā kis qadar barbād ho

    pāgaloñ ke haath meñ haiñ sab mashīnoñ ke button

    DhunDiye din raat hafton aur mahinon ke baTan

    la-makan mein kho gae hain in makinon ke button

    sirf chhune se nazar aata hai manzar ka fareb

    dekhne mein KHush-numa hain aabginon ke button

    daras-e-taqwa dene wale ki qaba par dekhiye

    sone chandi aur chamkile naginon ke button

    ab gareban chaak ka matlab batane ke liye

    kholne paDte hain aksar aastinon ke button

    jab sada-e-kun ka ugla marhala aa jaega

    aasman ke kaj mein honge zaminon ke button

    koi hai, warna ye duniya kis qadar barbaad ho

    pagalon ke hath mein hain sab mashinon ke button

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now