DhunDiye raat ki wusat mein nishan suraj ke
DhūñDiye raat kī vus.at meñ nishāñ sūraj ke
raaz ho jā.eñge az ḳhud hī ayaañ sūraj ke
fikr kī āñkhoñ se duniyā kī kahānī paḌhiye
har kahānī meñ haqā.eq haiñ nihāñ sūraj ke
ka.ī sadiyoñ se ujāle nahīñ pahuñche jis meñ
aise bhī gaañv meñ hote haiñ makāñ sūraj ke
roz-e-avval se un aflāk meñ jin se hai chamak
haiñ yaqīnan vo sabhī kāhkashāñ sūraj ke
chāñdnī fikr kī dhartī pe sajā.e rakhiye
vādī-e-ḳhvāb meñ bante haiñ jahāñ sūraj ke
ġhaur se dekho to shabnam kā bhī qatra sūraj
aur samjho to haiñ ye āb-e-ravāñ sūraj ke
DhunDiye raat ki wusat mein nishan suraj ke
raaz ho jaenge az KHud hi ayan suraj ke
fikr ki aankhon se duniya ki kahani paDhiye
har kahani mein haqaeq hain nihan suraj ke
kai sadiyon se ujale nahin pahunche jis mein
aise bhi ganw mein hote hain makan suraj ke
roz-e-awwal se un aflak mein jin se hai chamak
hain yaqinan wo sabhi kahkashan suraj ke
chandni fikr ki dharti pe sajae rakhiye
wadi-e-KHwab mein bante hain jahan suraj ke
ghaur se dekho to shabnam ka bhi qatra suraj
aur samjho to hain ye aab-e-rawan suraj ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.