DhunDne nikle the apna nam kis arman se
DhūñDne nikle the apnā naam kis armān se
ham sadāoñ ke nagar meñ rah ga.e anjān se
uñgliyāñ yādoñ kī thāme ham guzarte hī ga.e
rāste meñ moḌ milte hī ga.e sunsān se
de rahā huuñ 'umr ke hāsil ko afsāne kā ruup
TūTte lamhe bikhartī ret ke 'unvān se
dostoñ ne shah bhī dī hushiyār the ham bhī magar
fiil ghoḌe piT ga.e phir bhī rahe anjān se
vaqt kī jab dhuup 'ahmar' chaḌh ga.ī dīvār par
apnā saaya dekh ke ham rah ga.e hairān se
DhunDne nikle the apna nam kis arman se
hum sadaon ke nagar mein rah gae anjaan se
ungliyan yaadon ki thame hum guzarte hi gae
raste mein moD milte hi gae sunsan se
de raha hun 'umr ke hasil ko afsane ka rup
TuTte lamhe bikharti ret ke 'unwan se
doston ne shah bhi di hushiyar the hum bhi magar
fil ghoDe piT gae phir bhi rahe anjaan se
waqt ki jab dhup 'ahmar' chaDh gai diwar par
apna saya dekh ke hum rah gae hairan se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.