DhunDta sukun main tha paya ranj-o-gham ulTa
DhūñDtā sukūñ maiñ thā paayā ranj-o-ġham ulTā
manziloñ kī ḳhvāhish meñ rakh diyā qadam ulTā
jaate jaate qāsid ne kah diyā patā un kā
haa.e mere hāthoñ meñ aa gayā qalam ulTā
aaj gar gile shikve kar rahā thā vo lekin
bojh mere siine kā ho rahā thā kam ulTā
mujh ko saare manzar hī tab se ulTe lagte haiñ
zulf-e-yār ko dekhā jab se ḳham-ba-ḳham ulTā
pīchhe vāloñ ne apne hī ḳhilāf dī āvāz
aage vāloñ ne pakḌā thā yahāñ alam ulTā
jis ne merī sīrat ko daaġh daaġh likkhā hai
us kai hāthoñ maiñ paayā maiñ ne jām-e-jam ulTā
haath maiñ ne bhī yuuñ hī bārhā uThā.e the
us ne bhī mere aage rakh diyā sanam ulTā
kaise ab kisī se ham vāsta rakheñ 'rāsiḳh'
ab to bas mire andar pal rahā hai ġham ulTā
DhunDta sukun main tha paya ranj-o-gham ulTa
manzilon ki KHwahish mein rakh diya qadam ulTa
jate jate qasid ne kah diya pata un ka
hae mere hathon mein aa gaya qalam ulTa
aaj gar gile shikwe kar raha tha wo lekin
bojh mere sine ka ho raha tha kam ulTa
mujh ko sare manzar hi tab se ulTe lagte hain
zulf-e-yar ko dekha jab se KHam-ba-KHam ulTa
pichhe walon ne apne hi KHilaf di aawaz
aage walon ne pakDa tha yahan alam ulTa
jis ne meri sirat ko dagh dagh likkha hai
us kai hathon main paya main ne jam-e-jam ulTa
hath main ne bhi yun hi barha uThae the
us ne bhi mere aage rakh diya sanam ulTa
kaise ab kisi se hum wasta rakhen 'rasiKH'
ab to bas mere andar pal raha hai gham ulTa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.