DhunDte DhunDte hum aapko thak jate hain
DhūñDte DhūñDte ham aap ko thak jaate haiñ
rāste duur bahut duur talak jaate haiñ
koī aatā nahīñ bosīda se mere ghar meñ
kuchh parinde hī yahāñ aa ke chahak jaate haiñ
aib dahlīz pe daulat kī Dhake hote haiñ
muflisī aatī hai to parde masak jaate haiñ
daur-e-hāzir kī havāoñ kā asar to dekho
vaqt se pahle hī phal baaġh ke pak jaate haiñ
ahd karte haiñ na piine kā alassub.h magar
shaam ke aate hī paimāne chhalak jaate haiñ
aañsū ruḳhsār ko chhūne kī tamanna le kar
āñkhoñ ke kor se gāloñ pe Dhalak jaate haiñ
DhunDte DhunDte hum aap ko thak jate hain
raste dur bahut dur talak jate hain
koi aata nahin bosida se mere ghar mein
kuchh parinde hi yahan aa ke chahak jate hain
aib dahliz pe daulat ki Dhake hote hain
muflisi aati hai to parde masak jate hain
daur-e-hazir ki hawaon ka asar to dekho
waqt se pahle hi phal bagh ke pak jate hain
ahd karte hain na pine ka alassubh magar
sham ke aate hi paimane chhalak jate hain
aansu ruKHsar ko chhune ki tamanna le kar
aankhon ke kor se galon pe Dhalak jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.