DhunDte ho jise dafinon mein
DhūñDte ho jise dafīnoñ meñ
vahī vahshī hai sab ke sīnoñ meñ
mere qābīl kī rivāyat haiñ
purze jitne bhī haiñ mashīnoñ meñ
sub.h-dam phir se baañT dī kis ne
tīrgī shahr ke makīnoñ meñ
bhuuk boī ga.ī hai ab ke baras
daañt ug aa.e haiñ zamīnoñ meñ
zindagī gaañv kī hasīñ laḌkī
ghir ga.ī hai tamāsh-bīnoñ meñ
kis musāfir kī baat karte ho
ab to tūfān haiñ safīnoñ meñ
kis mashaqqat ke saañs letā huuñ
ye ġhazal bhī huī mahīnoñ meñ
DhunDte ho jise dafinon mein
wahi wahshi hai sab ke sinon mein
mere qabil ki riwayat hain
purze jitne bhi hain mashinon mein
subh-dam phir se banT di kis ne
tirgi shahr ke makinon mein
bhuk boi gai hai ab ke baras
dant ug aae hain zaminon mein
zindagi ganw ki hasin laDki
ghir gai hai tamash-binon mein
kis musafir ki baat karte ho
ab to tufan hain safinon mein
kis mashaqqat ke sans leta hun
ye ghazal bhi hui mahinon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.