dhup aur chhaon ki fikron se nikalna hai mujhe
dhuup aur chhāoñ kī fikroñ se nikalnā hai mujhe
chal paḌā huuñ to usī raah pe chalnā hai mujhe
mujh se jo aage haiñ vo aage na chalne deñge
aage baḌhnā hai to phir raah badalnā hai mujhe
vaise is 'ahd kī qadroñ kā taqāza hai yahī
vaqt ke saath bahar-hāl badalnā hai mujhe
mere ḳhvāboñ kā bharam toḌne vaale ye batā
kab talak yūñhī ġham-e-'ishq meñ jalnā hai mujhe
zindagī ek mahaktā huā jaada hī nahīñ
sirf phūloñ pe kyā kāñToñ pe bhī chalnā hai mujhe
chāñd āñgan meñ na utre ye alag baat magar
ek bachche kī tarah roz machalnā hai mujhe
ġham kā sūraj na Dhalā hai na Dhalegā shāyad
barf kī tarh shab-o-roz pighalnā hai mujhe
mere maazī ne kiyā tark-e-ta'alluq mujh se
ab to har haal meñ tanhā hī sañbhalnā hai mujhe
nafrat-o-buġhz-o-hasad kī vo ghuTan hai 'gulshan'
kuchh bhī ho jaa.e ye māhaul badalnā hai mujhe
dhup aur chhaon ki fikron se nikalna hai mujhe
chal paDa hun to usi rah pe chalna hai mujhe
mujh se jo aage hain wo aage na chalne denge
aage baDhna hai to phir rah badalna hai mujhe
waise is 'ahd ki qadron ka taqaza hai yahi
waqt ke sath bahar-haal badalna hai mujhe
mere KHwabon ka bharam toDne wale ye bata
kab talak yunhi gham-e-'ishq mein jalna hai mujhe
zindagi ek mahakta hua jada hi nahin
sirf phulon pe kya kanTon pe bhi chalna hai mujhe
chand aangan mein na utre ye alag baat magar
ek bachche ki tarah roz machalna hai mujhe
gham ka suraj na Dhala hai na Dhalega shayad
barf ki tarh shab-o-roz pighalna hai mujhe
mere mazi ne kiya tark-e-ta'alluq mujh se
ab to har haal mein tanha hi sanbhalna hai mujhe
nafrat-o-bughz-o-hasad ki wo ghuTan hai 'gulshan'
kuchh bhi ho jae ye mahaul badalna hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.