dhup girne lagi badan bhar par
dhuup girne lagī badan bhar par
chhāñv rakh de koī mire sar par
baukhlā se ga.e dar-o-dīvār
ek dastak huī kisī dar par
ek be-kār kī zarūrat thī
muskurātī rahī muqaddar par
raat takiye pe buuñd buuñd girī
kaa.ī jamne lagī hai bistar par
saarā din mustaqil tanāv thā
ab hañsī aa rahī hai daftar par
ghar pe rahtā thā ek sāya-e-ġham
aur vo rahtā rahā mire ghar par
bad-gumāñ ho gayā huuñ bāhar se
huuñ maiñ nārāz apne andar par
sīḌhiyāñ ban rahī haiñ sab lahreñ
chāñd utregā kyā samundar par
dhup girne lagi badan bhar par
chhanw rakh de koi mere sar par
baukhla se gae dar-o-diwar
ek dastak hui kisi dar par
ek be-kar ki zarurat thi
muskuraati rahi muqaddar par
raat takiye pe bund bund giri
kai jamne lagi hai bistar par
sara din mustaqil tanaw tha
ab hansi aa rahi hai daftar par
ghar pe rahta tha ek saya-e-gham
aur wo rahta raha mere ghar par
bad-guman ho gaya hun bahar se
hun main naraaz apne andar par
siDhiyan ban rahi hain sab lahren
chand utrega kya samundar par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.