dhup hi dhup hai aanchal hai na saya koi
dhuup hī dhuup hai āñchal hai na saaya koī
zindagī hai ki dahaktā huā sahrā koī
ek ik kar ke sabhī vaqt ke sāthī bichhḌe
rah gayā manzil-e-ummīd pe tanhā koī
mom kī tarah mirā jism pighalte hue dekh
is ghaḌī tū hai mire paas ki sho.ala koī
log pathrāv kareñ ḳhaak uḌā.eñ ki hañseñ
be-niyāzāna guzar jā.egā ham sā koī
sab ke sab kohna rivāyāt ke rahrav nikle
vaqt kī chhāñv meñ ik pal bhī na Thahrā koī
hai ye andāz-e-sitam garm havāoñ kā 'ziyā'
peḌ ke jism pe baaqī nahīñ patta koī
dhup hi dhup hai aanchal hai na saya koi
zindagi hai ki dahakta hua sahra koi
ek ek kar ke sabhi waqt ke sathi bichhDe
rah gaya manzil-e-ummid pe tanha koi
mom ki tarah mera jism pighalte hue dekh
is ghaDi tu hai mere pas ki shoala koi
log pathraw karen KHak uDaen ki hansen
be-niyazana guzar jaega hum sa koi
sab ke sab kohna riwayat ke rahraw nikle
waqt ki chhanw mein ek pal bhi na Thahra koi
hai ye andaz-e-sitam garm hawaon ka 'ziya'
peD ke jism pe baqi nahin patta koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.