dhup hi dhup hai jis samt uThaen aankhen
dhup hi dhup hai jis samt uThaen aankhen
Syed Mohammad Ahmad Naqvi
MORE BYSyed Mohammad Ahmad Naqvi
dhuup hī dhuup hai jis samt uThā.eñ āñkheñ
ab sulagtī huī bīnā.ī bachā.eñ āñkheñ
maiñ jo ā.īna bhī dekhūñ to muḳhālif se milūñ
aap jo dekhnā chāheñ vo dikhā.eñ āñkheñ
uñgliyāñ kaise kaTīñ kaise zabāñ gañg huī
ab ye rūdād zamāne ko sunā.eñ āñkheñ
jis qadar rang bhī haiñ dā.era-e-imkāñ meñ
itne rangoñ kī badaltī haiñ qabā.eñ āñkheñ
ye na ho koī añdhere ke muqābil na rahe
aao bujhtī huī āñkhoñ se jalā.eñ āñkheñ
us ne jaate hue muḌ kar bhī na dekhā 'naqvī'
duur tak detī rahīñ jis ko sadā.eñ āñkheñ
dhup hi dhup hai jis samt uThaen aankhen
ab sulagti hui binai bachaen aankhen
main jo aaina bhi dekhun to muKHalif se milun
aap jo dekhna chahen wo dikhaen aankhen
ungliyan kaise kaTin kaise zaban gang hui
ab ye rudad zamane ko sunaen aankhen
jis qadar rang bhi hain daera-e-imkan mein
itne rangon ki badalti hain qabaen aankhen
ye na ho koi andhere ke muqabil na rahe
aao bujhti hui aankhon se jalaen aankhen
us ne jate hue muD kar bhi na dekha 'naqwi'
dur tak deti rahin jis ko sadaen aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.