dhup ho gae sae jal gae shajar jaise
dhuup ho ga.e saa.e jal ga.e shajar jaise
jam ga.ī hai dhartī par ab ke dopahar jaise
ziist ke ḳharābe meñ ik siyāh ghar dil kā
aur dil meñ yaad us kī raushnī kā dar jaise
kaise kaise hañgāme ghere rakhte the din-rāt
lag ga.ī nigāhoñ ko apnī hī nazar jaise
yā to aane se pahle ghar kā pūchhte ahvāl
aa ga.e to ab kiije ho guzar-basar jaise
aise taktā rahtā huuñ us galī ke logoñ ko
lene aa.egā koī merī bhī ḳhabar jaise
muddatoñ maiñ guzrā thā us ke shahr se lekin
sab makān lagte the mujh ko us ke ghar jaise
naqsh-gāh-e-hastī meñ dekhī apnī bhī tasvīr
ek kāġhaz-e-sāda āñsuoñ se tar jaise
chāhtī hai ab vahshat duur tak bayābānī
kāTne ko aate haiñ ghar ke bām-o-dar jaise
mujh se kyā sahe jaate un kī bazm ke ādāb
ashk māñgte the vo ashk bhī guhar jaise
maiñ bhī kitnā saada huuñ rahguzar pe baiThā huuñ
rok legā vo paañv mujh ko dekh kar jaise
merī ḳhvāhisheñ 'anjum' jaise nāchtī pariyāñ
merā saarā mustaqbil ḳhvāb kā nagar jaise
dhup ho gae sae jal gae shajar jaise
jam gai hai dharti par ab ke dopahar jaise
zist ke KHarabe mein ek siyah ghar dil ka
aur dil mein yaad us ki raushni ka dar jaise
kaise kaise hangame ghere rakhte the din-raat
lag gai nigahon ko apni hi nazar jaise
ya to aane se pahle ghar ka puchhte ahwal
aa gae to ab kije ho guzar-basar jaise
aise takta rahta hun us gali ke logon ko
lene aaega koi meri bhi KHabar jaise
muddaton main guzra tha us ke shahr se lekin
sab makan lagte the mujh ko us ke ghar jaise
naqsh-gah-e-hasti mein dekhi apni bhi taswir
ek kaghaz-e-sada aansuon se tar jaise
chahti hai ab wahshat dur tak bayabani
kaTne ko aate hain ghar ke baam-o-dar jaise
mujh se kya sahe jate un ki bazm ke aadab
ashk mangte the wo ashk bhi guhar jaise
main bhi kitna sada hun rahguzar pe baiTha hun
rok lega wo panw mujh ko dekh kar jaise
meri KHwahishen 'anjum' jaise nachti pariyan
mera sara mustaqbil KHwab ka nagar jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.