dhup ho tez to diwar ka saya hai bahut
dhuup ho tez to dīvār kā saaya hai bahut
chand yādoñ kā asāsa bhī asāsa hai bahut
bebasī halqa-e-zanjīr banī hai yaaro
zindagī ham ne tujhe TuuT ke chāhā hai bahut
jiite jī kitne savāloñ se chhuḌā.e dāman
aadmī apne garebān se uljhā hai bahut
TuuT jā.egā kisī din bhī añdheroñ kā tilism
sochne vāloñ ke zehnoñ meñ ujālā hai bahut
log phir log haiñ raa.ī kā banāte haiñ pahāḌ
uḌne vāloñ kā hunar ham ne bhī dekhā hai bahut
ek ek lamha bhī barsoñ ke barābar hai 'jalīl'
qaid-e-tanhā.ī hai dil apnā akelā hai bahut
dhup ho tez to diwar ka saya hai bahut
chand yaadon ka asasa bhi asasa hai bahut
bebasi halqa-e-zanjir bani hai yaro
zindagi hum ne tujhe TuT ke chaha hai bahut
jite ji kitne sawalon se chhuDae daman
aadmi apne gareban se uljha hai bahut
TuT jaega kisi din bhi andheron ka tilism
sochne walon ke zehnon mein ujala hai bahut
log phir log hain rai ka banate hain pahaD
uDne walon ka hunar hum ne bhi dekha hai bahut
ek ek lamha bhi barson ke barabar hai 'jalil'
qaid-e-tanhai hai dil apna akela hai bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.