dhup jali to basti ki basti tarik hui
dhuup jalī to bastī kī bastī tārīk huī
andhe ghar ke logoñ kī bīnā.ī Thiik huī
merī 'imārat jhūTī buniyādoñ pe qaa.em thī
phir kyoñ mere malbe se sach kī tahrīk huī
jo tahrīreñ maiñ ne tujh se chhup kar likkhī thiiñ
un kī numā.ish mere hī ghar ke nazdīk huī
kamre meñ raushan sannāToñ kā vo 'ālam thā
kiran jharoke se andar aa kar bārīk huī
kuchh to 'humairā' āñgan meñ thī soñdhe-pan kī baas
aur kuchh ab kī rut meñ phulvārī bhī Thiik huī
dhup jali to basti ki basti tarik hui
andhe ghar ke logon ki binai Thik hui
meri 'imarat jhuTi buniyaadon pe qaem thi
phir kyon mere malbe se sach ki tahrik hui
jo tahriren main ne tujh se chhup kar likkhi thin
un ki numaish mere hi ghar ke nazdik hui
kamre mein raushan sannaTon ka wo 'alam tha
kiran jharoke se andar aa kar barik hui
kuchh to 'humaira' aangan mein thi sondhe-pan ki bas
aur kuchh ab ki rut mein phulwari bhi Thik hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.