dhup ka aks kaDi dhup se baDh kar nikla
dhuup kā aks kaḌī dhuup se baḌh kar niklā
maiñ jise aa.ina samjhā thā vo patthar niklā
log dukh dard bhī tanhā nahīñ sahne dete
mere ghar meñ jo tamāshā thā vo ghar ghar niklā
dekh kar chāñd talātum hai bapā siine meñ
maiñ samajhtā thā jise dil vo samundar niklā
us kī yādoñ se baḌī ma.arka-ārā.ī huī
phir kahīñ jā ke mire dil se vo paikar niklā
us ne dastār ko bhī kaasa banā rakkhā hai
maiñ jise shaah samajhtā thā gadāgar niklā
munkashif hone lagā sirr-e-nihāñ bhī mujh par
jūñhī siine se mire vahm kā ḳhanjar niklā
ek din ḳhud se taqābul kiyā maiñ ne apnā
mere andar kā jo insān thā behtar niklā
ḳhud-pasandī kā nasha aisā nasha hai 'ahmad'
maiñ ne jis jis ko bhī dekhā vahī ḳhūgar niklā
dhup ka aks kaDi dhup se baDh kar nikla
main jise aaina samjha tha wo patthar nikla
log dukh dard bhi tanha nahin sahne dete
mere ghar mein jo tamasha tha wo ghar ghar nikla
dekh kar chand talatum hai bapa sine mein
main samajhta tha jise dil wo samundar nikla
us ki yaadon se baDi marka-arai hui
phir kahin ja ke mere dil se wo paikar nikla
us ne dastar ko bhi kasa bana rakkha hai
main jise shah samajhta tha gadagar nikla
munkashif hone laga sirr-e-nihan bhi mujh par
junhi sine se mere wahm ka KHanjar nikla
ek din KHud se taqabul kiya main ne apna
mere andar ka jo insan tha behtar nikla
KHud-pasandi ka nasha aisa nasha hai 'ahmad'
main ne jis jis ko bhi dekha wahi KHugar nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.