dhup ki gaThri khuli raat ke pahlu nikle
dhuup kī gaThrī khulī raat ke pahlū nikle
raat kī jeb se phir dard ke jugnū nikle
raat kī ḳhair nahīñ chāñd sitāre jugnū
le ke hāthoñ meñ chamakte hue chāqū nikle
saarā ākāsh nigāhoñ meñ utar aaya hai
jab se chūze ke paroñ vaale do baazū nikle
shahr meñ sang chale dasht ko majnūñ niklā
ḳhair-maqdam ke liye jhunD meñ aahū nikle
dekh kar mujh ko mahak uThtī haiñ āñkheñ us kī
ahmarīñ hoñToñ se ādāb kī ḳhushbū nikle
sun ke ghanghor ghaTāoñ ke surīle naġhme
mor bhī paañv meñ bāñdhe hue ghuñghrū nikle
dhup ki gaThri khuli raat ke pahlu nikle
raat ki jeb se phir dard ke jugnu nikle
raat ki KHair nahin chand sitare jugnu
le ke hathon mein chamakte hue chaqu nikle
sara aakash nigahon mein utar aaya hai
jab se chuze ke paron wale do bazu nikle
shahr mein sang chale dasht ko majnun nikla
KHair-maqdam ke liye jhunD mein aahu nikle
dekh kar mujh ko mahak uThti hain aankhen us ki
ahmarin honTon se aadab ki KHushbu nikle
sun ke ghanghor ghaTaon ke surile naghme
mor bhi panw mein bandhe hue ghunghru nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.